Shayaris : One wise
~~Tasveer~~
Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,
har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,
ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine.
***
~~Zindagi~~
lamha lamha zindagi ka battor raha hai
bikhri hui duniya ko battor raha hai
khwab jo kabhi pure nahi ho sakte
aaj un tute khawab ko jor raha hai
geeli aankhon ke behte paani se
apne hi daman ko kar sharabor raha hai
Kitne hi rahon pe phoolon pe chal
aaj kaaton se muh mor raha hai
Kalam ki siayi khatam hone par
katre ke lie dil nichor raha hai
"kamal" kuch hi pal ki to hai zindagi
to aaj maut ko kyon kar door raha hai
***
~~Daaman~~
youn na mujhko dekh tera dil pighal na jaaye
mere aansooyon se tera daaman jal na jaaye
woh mujhse phir mila hai aaj khwaabon mein
ae khudaya kahin meri neend khul na jaaye
poocha na kar sab ke saamne meri kahani
kabhi tera naam hothon se nikal na jaaye
jee bhar ke dekh lo "KaMaL" ko tum sanam
kya pata phir zindagi ki shaam dhal na jaaye
***
~~Chiraag mein~~
jab koi junoon aata hai dimaag mein
apna khoon daal deta hoon chiraag mein
aik chehra ban jaata hai meri aahon se
aik soorat chhupi huii hai dil ke daag mein
dard ke siwaa mujhko milaa kuch bhi nahin
maine dil lagaaya tha khushiyon ki laag mein
lapton mein mujhko dekh kar mayous hote hain
jhoonk to dete hain mere khat woh aag mein
kaanton se apna daaman bhar ke laaya hoon
mil gaya tha aik shakhs phoolon ke baag mein
***
~~banaa diya~~
khoon se rangeen deewar-o-dar banaa diya
zara sa haath maine zakhmon se utthaa diya
teri yaadon ne dastak jab bhi dil pe di
aik aah bhar lee aik aansoo bahaa diya
cheekh-te hain dil ke chhalle naam-e-marham pe
rog kaise tumne ye dil ko lagaa diya
phir bhi deta hai tum hi ko dil duaayen
mana ke tune mujhe khaak mein milaa diya
baitha hoon jaise lutt gaya ho dilli ka taaj
aaj maine tera aakhiri khat bhi jalaa diya
woh chehre ko duppatte mein chhuppaye chal diye
"Reader Name" ka ek sheyr maine kya sunaa diya
***
No comments:
Post a Comment